Kitna Badal Gaya Insaan -lyrics (ft. Eva B) - Sunny Khan Durrani | Urdu Rap


Every single way we are destroying this world and not even realizing. Kitna Badal Gaya Insaan!! Music Production/Mixing/Mastering: Sunny Khan Durrani Lyrics: Sunny Khan Durrani, Eva B Artwork : No Life Doodler #UrduRap #DesiHipHop #KitnaBadalGayaInsaan

Lyrics: Hook: Chall aur kappat ke haathon apna baich raha eemaan, Kitna Badal Gaya Insaan,
Sooraj na badla, Chaand na badla, Na badla re aasmaan Kitna Badal Gaya Insaan x2 Eva B: Unity is strength Tabhi to mili azadi. Wrna har aik k gale pe hoti gulaami ki phansi. Ithadi hi thi jo yahan tak leke aai
Par waqt ne har aik ki, asleehat dikhaai Bhai bhai ki larai jawan beta baap kamaey Gali koochay ki larai pe behn ne gali khai
. T shirt pe loose jacket Yahan tights me he legs Maa behn pe gali dena hai yahi he inka swag

Chars pe bharam lekin bharam to ye arzi he Haqeeqat me to ye apni behn k hi karzi hain

Koi inhe kuch na bole, jo ye chahe wohi krna he mehnat se nahi, inhe rondh k hi aage barhna he Rishwat dete khushi se, na denge jurmana ye Sukoon gah aj masjid nahi balkay mekhana he Dikhawe ki ibadat, dikhawe ko hajj pe jana he Duniya me betha jannati hooron ka deewana he

Doosron ki behne slut? Par shareef apni behna he giraa ke dusron ki izzat, izzatdar ban k rehna Mazdooron ka haq kha rahe log Education k nam pe  kama rahe log Shadi byah me bs paisa uraate Mal e rishwat se ghar ko saja rahe log Insano ki Duniya me dikhti insnaaiyat nai Jamhori ryasat me hukumat koi nahi jamhoriyat ki. 10 saal ka bacha betha dhoondta hai porn site Hashtag qaum tabah hai bat nahi ye tarbiyat ki. Duniya competition or zindagi imetehaan he Jo gheebat krta milta usko hi ko inaam he Log double policy or jaali zamaane k log

Zamane he jaali ye zamane pe ilzam he. Hook: Chall aur kappat ke haathon apna baich raha eemaan, Kitna Badal Gaya Insaan, Sooraj na badla, Chaand na badla, Na badla re aasmaan Kitna Badal Gaya Insaan x2 Sunny Khan Durrani : 12 saal ka me, mujhe fikar aasmano ki Makhlook ko me dekhun suno dhun me zubaano ki Parindo se thi guftgu aur urne ki khuwahish thi Phir dunya ne roka Le raah dunyaadaari ki

Sikhaadi saari batain jin se mera koi kaam nai Jo cheezain ehsaas thi ab sune uske naam kaheen Munaafa, nuksaan,  takkabur aur nafrat Anaa khudaaari  bhai kesi ye circus Jo karo tum sawaal to sawaal bhi khataa hai Khud faraib karain bolain uski razaah hai Yahan jang chalay zann pe, Jang chalay zarr pe Aag lagaate phirain apne hi ghar pe, Tinkon ke ghar maarte phoonkain ye naar ko Internet pe bethay dete gaali sarhad paar

6 foot ka samaan nai aur batain jareeb ki, Jo ghalti insaan ki, banadain wo naseeb ki aaj kal me kaat ke, rakh dia waqt ko, Kaata likha usi pe, bachao is drakht ko, Wah dunya wahh tere tor bhi ajeeb hain, Kaaghaz nahi jaib me jinki wo sab ghareeb hain, Zameen ki hifazat karain lakeerain ye kheench ke Zamee se bharke paani phir zamee ko hi bech dain, Kon kare fikar sochay, dooor khalaa ki

Jo log itne bhookay lete qeemat hawaa ki, Banaa ke haspataal lagaen, qeemat ye jaan ki Pohunch nahi, torke warna beech dain ye chaand bhi ye Qudrat ke baare me itne behiss hain ke, La ilmii me darain teesray jinss se, Jismon me doobay ye rooh me na terayy, Rishtay dunyaawi do pal bhi na thehrayy... Hook: Chall aur kappat ke haathon apna baich raha eemaan, Kitna Badal Gaya Insaan, Sooraj na badla, Chaand na badla, Na badla re aasmaan Kitna Badal Gaya Insaan x2


Post a Comment

0 Comments